Har karz Dosti ka ada karega kaun,
Jab hum hi nahi rahenge to Dosti karega kaun.
Ay khuda mere Dosto ko salamat rakhna,
Verna mere jeene ki dua karega kaun…
`
Phulon se khubsurat koi nahi,
Sagar se gehara koi nahi,
Ab aapki kya tariff karu,
Dosto mein aap jaisa Dost koi nahi…
`
Agar kal hum nahi bhi rahe,
Hamari yaadein sada rahengi.
Sirf nazare uthake chaand ko dekhna,
Hamari Dosti ki tasvir waha bani rahegi…
`
Teri Dosti ne bahut kuch sikha diya
meri khamosh duniya ko jaise hasa diya
karzdar hu mein khuda ka…
jisne mujhe aap jaise Dost se mila diya…
`
Dosti to sirf ittifaq hai
yeh to Dillon ki mulaqat hai
Dosti nahi dekhti ye din hai ki raat hai
isme to sirf wafadari or jazbaat hai!
0 comments:
Post a Comment